शनिवार, 13 अगस्त 2011

15 AUGUST


Swagat tera pandrah august 

   Swarnim pristho mein likha isi din Bharat ka itihas amar

   Swagat tera pandrah august


   Tilak Lajapat Vipin Pal nij ko tuj par kurban kiye
 
   Bagh "jalioanwala" mei  bhar gaye abhiman liye
 
   Jab asahyog aur bahishkar ke nare ka uchhar hua


   Angrejo Bharat chhode se  bijali ka sa sanchar hua

   Pandrah august saitalish ko jarjar pashu bedi tut gayi

   Pashu bal ki shashan kara se vivhal manavata chut gayi

   Tab dhwaja tiranga laharaya surbhit gunjit tha dig-digant

   Manav dwara manvata ke shoshan ka bhi tab hua ant

   Prachi nabh mein ravi udit huya paschim ka suraj hua aast

   SWAGAT  TERA  PANDRAH AUGUST


कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें