शनिवार, 28 जनवरी 2012

INTEZAAR


Tere hothon pe jab bhi naam mera aya hoga ,
Koi sun na le ye soch ke dil ghabraya hoga !!

Soch ke apne is pyaar bhari harkat ko ,
Man bhi dhire  se muskuaya hoga !!

Machal gaye honge jhajhabat  mujhe chhune ko ,
Fir mera chehra teri nazron me samaya hoga !!

Nahin ye nahi ho sakta ye meri jane jigar ,
Tune fir apne is dil ko ye samjhaya hoga !!

Kar do meri mahobbat mere naam ,
Tune fir ek bar ye manaya hoga !!

Na chala hoga jab bas tera khud pe ,
tune tadapkar mujhe bulaya hoga !!

Sunkar awaaz meri , bhara gaya hoga tera gala ,
Shabd ek bhi na zabaan se nikal paya hoga !!

Hai ajib si mil ke bhi na milane ki kasak ,
Tum fir milane ka khyab sajaya hoga !!

Kaise dur hongi duriya ye jamane ki ,
Tune fir ye sawaal apne aap se uthaya hoga…!!!

शनिवार, 21 जनवरी 2012

HASARAT


Milan ki ek arzoo thi
Sapne the in ankhon mei
Unke ru-b-ru hone ki
Hasarat thi in sanso mei

Kuch baten thi adhuri si
Kuch lamhe the tanhai ke
Nazare thi kuch bojhil si
Pyar mei rusawai ke

Sanse thi kuch sharmie si
Man mei ek lalak bhi thi.
Dil mei uth rahi thi kasak si
Milan ke baad judai ki……..