बुधवार, 28 दिसंबर 2011

Jindagi ka safar


Jindagi ke chiragon ko uhi jalae rakhiye ,

Labo pe  muskurahato ko uhi sajaye rakhiye !!

Ankho se bhi ashoon ko chupaye rakhiye ,

Dil me udhate dard ko uhi dabaye  rakhiye`!!

Hoke maayus na shere- shaam dhalte rahiye ,

Jindgi ek subah  hai  ,suraj ki tarah chamakete  rahiye !!

Rukati  nahi hai dhara nadi ki, uhi bahate rahiye ,

Dheere hi sahi dagar par , magar chalte rahiye !!`

Mushkile dilo ke iraade, hausalo ko azmayegi ,

Khwaabo ke parde nigaaho se khud  hatayegi !!

Girkar   samahlana hai , khud hi  batayegi ,


Jindagi khud -b-khud ek din chalana sikhayegi ....................


शनिवार, 10 दिसंबर 2011

KUCH TO BAKI HAI


Jindagi ki  daud mei udaan abhi baaki hai
Rah mei  kai imtehan abhi baaki hai
Abhi to nikale hai ghar se  bhar kadam humane
Rah mei takarane ko kai toofan abhi baki hai

Lahoron mei uthane wala uffan abhi baki hai
Samundra ki gahrai ka anuman abhi baki hai
Fadfadte pankhon ka viram abhi baki hai
Yu to napane ko to  sara aasman abhi baaki hai

Iraadon mei  hausale ki  raftar abhi baki hai
Nigahon se khawabo ki pahchan abhi baki hai
Larjate labo pe aane ko muskan abhi baki hai
Dil mei uthati tarango ke jhajhabat abhi baki hai

Ladate hai khud se roj hum
Anshuon   ko ankho mei chhupa
Najane jindagi ke kaun se raj abhi baki hai
Chalte ja rahe hai ,  jane kitane mod aane abhi baki hai.