शनिवार, 10 दिसंबर 2011

KUCH TO BAKI HAI


Jindagi ki  daud mei udaan abhi baaki hai
Rah mei  kai imtehan abhi baaki hai
Abhi to nikale hai ghar se  bhar kadam humane
Rah mei takarane ko kai toofan abhi baki hai

Lahoron mei uthane wala uffan abhi baki hai
Samundra ki gahrai ka anuman abhi baki hai
Fadfadte pankhon ka viram abhi baki hai
Yu to napane ko to  sara aasman abhi baaki hai

Iraadon mei  hausale ki  raftar abhi baki hai
Nigahon se khawabo ki pahchan abhi baki hai
Larjate labo pe aane ko muskan abhi baki hai
Dil mei uthati tarango ke jhajhabat abhi baki hai

Ladate hai khud se roj hum
Anshuon   ko ankho mei chhupa
Najane jindagi ke kaun se raj abhi baki hai
Chalte ja rahe hai ,  jane kitane mod aane abhi baki hai.

1 टिप्पणी: