गुरुवार, 29 सितंबर 2011

PYAAR

Yeh kya kam hai wo basa hai meri sanso me
Wah mere samane ho ye koi jaruri to nahi 


Jaan lutade hum uski ek muskurahat pe
Chhat ka takaja hai , wo bhi ye kare koi jaruri to nahi



Nikal kar aankho se yadon me bas gaya hai wo
Dil ki nazdikiya hai , ye koi duri to nahi


Uske ghar ki taraf udhate nahi mere kadam
Uski badnami se darta hu, ye meri majboori to nahi


Kyu log madhosh hote hai mere khyalat se
Pyar aur tadap alag hai , barsat ho har bar ye jaruri to nahi


Darta hu izhare-e-halat , shauke ibadat se 
Wah kabul kare meri iltaza ye jaruri to nahi


Pal pal dhadkata hai dil uske naam se 
Wah tal se tal milaye ye jaruri to nahi


Meri mohhabat ka umadat sailab hai wo
Wah bhi muje tut kar chhae , ye jaruri to nahi





1 टिप्पणी: