Swagat tera pandrah august
Swarnim pristho mein likha isi din Bharat ka itihas amar
Swagat tera pandrah august
Tilak Lajapat Vipin Pal nij ko tuj par kurban kiye
Bagh "jalioanwala" mei bhar gaye abhiman liye
Jab asahyog aur bahishkar ke nare ka uchhar hua
Angrejo Bharat chhode se bijali ka sa sanchar hua
Pandrah august saitalish ko jarjar pashu bedi tut gayi
Pashu bal ki shashan kara se vivhal manavata chut gayi
Tab dhwaja tiranga laharaya surbhit gunjit tha dig-digant
Manav dwara manvata ke shoshan ka bhi tab hua ant
Prachi nabh mein ravi udit huya paschim ka suraj hua aast
SWAGAT TERA PANDRAH AUGUST
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें